koi milta hi nahin sath nibhane wala
koī miltā hī nahīñ saath nibhāne vaalā
lauT ke aatā nahīñ chhoḌ ke jaane vaalā
jo use dekhtā hai dekhtā rah jaatā hai
us ke chehre kā hai andāz lubhāne vaalā
yuuñ bhī nārāz nahīñ hote kisī se ab ham
ham ko miltā hī nahīñ koī manāne vaalā
hosh meñ rahtā hai ḳhud mujh ko dīvāna kar ke
jaam āñkhoñ se mujhe yaar pilāne vaalā
rāhzan bhaag ga.e luuT ke saarā sāmān
kuchh bhī kar paayā nahīñ shor machāne vaalā
vo du'ā de gayā jaate hue ḳhush rahne kī
daur-e-gardish meñ mujhe chhoḌ ke jaane vaalā
chain se kaise rahegā kabhī vo duniyā meñ
biij nafrat ke zamīnoñ meñ ugāne vaalā
koi milta hi nahin sath nibhane wala
lauT ke aata nahin chhoD ke jaane wala
jo use dekhta hai dekhta rah jata hai
us ke chehre ka hai andaz lubhane wala
yun bhi naraaz nahin hote kisi se ab hum
hum ko milta hi nahin koi manane wala
hosh mein rahta hai KHud mujh ko diwana kar ke
jam aankhon se mujhe yar pilane wala
rahzan bhag gae luT ke sara saman
kuchh bhi kar paya nahin shor machane wala
wo du'a de gaya jate hue KHush rahne ki
daur-e-gardish mein mujhe chhoD ke jaane wala
chain se kaise rahega kabhi wo duniya mein
bij nafrat ke zaminon mein ugane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.