koi mujh mein hai main kisi mein hun
koī mujh meñ hai maiñ kisī meñ huuñ
maiñ añdherā huuñ raushnī meñ huuñ
tere ġham meñ huuñ maiñ ḳhushī meñ huuñ
dhuup meñ aur chāñdnī meñ huuñ
maut jis se najāt detī hai
qaid aisī hī zindagī meñ huuñ
kyuuñ mire dost mujh se bachte haiñ
aisā lagtā hai muflisī meñ huuñ
mere aib-o-hunar chhupeñ kaise
maiñ 'navāz' apnī shā.irī meñ huuñ
koi mujh mein hai main kisi mein hun
main andhera hun raushni mein hun
tere gham mein hun main KHushi mein hun
dhup mein aur chandni mein hun
maut jis se najat deti hai
qaid aisi hi zindagi mein hun
kyun mere dost mujh se bachte hain
aisa lagta hai muflisi mein hun
mere aib-o-hunar chhupen kaise
main 'nawaz' apni shairi mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.