koi na aaega thak jaoge sada kar ke
koī na aa.egā thak jāoge sadā kar ke
tum apne ghar meñ muqaffal ho dar khulā kar ke
us ek raat kī qīmat adā nahīñ hogī
tamām-umr bhī guzre jo ratjagā kar ke
sivā.e tīrgī kuchh bhī nazar na aa.egā
tū mujh se dekh to ḳhud ko kabhī judā kar ke
tumhārī āñkhoñ meñ behtar dikhā.ī deñge ham
tum apne aap ko dekho to aa.ina kar ke
vo kis tarah tujhe apne qarīb aane de
jo apne aap se miltā ho fāsla kar ke
junūñ meñ bhī hameñ taqdīs kā ḳhayāl rahā
huzūr-e-ishq se lauTe to iltijā kar ke
koi na aaega thak jaoge sada kar ke
tum apne ghar mein muqaffal ho dar khula kar ke
us ek raat ki qimat ada nahin hogi
tamam-umr bhi guzre jo ratjaga kar ke
siwae tirgi kuchh bhi nazar na aaega
tu mujh se dekh to KHud ko kabhi juda kar ke
tumhaari aankhon mein behtar dikhai denge hum
tum apne aap ko dekho to aaina kar ke
wo kis tarah tujhe apne qarib aane de
jo apne aap se milta ho fasla kar ke
junun mein bhi hamein taqdis ka KHayal raha
huzur-e-ishq se lauTe to iltija kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.