koi na puchhe nazar wajh-e-sarkashi humse
koī na pūchhe 'nazar' vaj.h-e-sarkashī ham se
zamāne-bhar ne bahut kī hai dil-lagī ham se
ayaañ hai dard samandar kā ūñchī lahroñ se
chhupā na pā.eñge ashkoñ ko vo kabhī ham se
kiran koī mirī rātoñ meñ aa ga.ī hogī
kuchh aur baḌh ga.ī sūraj kī be-ruḳhī ham se
jahāñ rukī thī kabhī rāh-e-zindagī aa kar
vahīñ se pā.egī ik moḌ zindagī ham se
ga.e the abr-e-karam ban ke jānib-e-sahrā
kuchh aur baḌh ga.ī sahrā kī tishnagī ham se
jo kal talak hameñ tārīk-tar samajhte the
vo aaj aa.e haiñ lene ko raushnī ham se
koi na puchhe 'nazar' wajh-e-sarkashi hum se
zamane-bhar ne bahut ki hai dil-lagi hum se
ayan hai dard samandar ka unchi lahron se
chhupa na paenge ashkon ko wo kabhi hum se
kiran koi meri raaton mein aa gai hogi
kuchh aur baDh gai suraj ki be-ruKHi hum se
jahan ruki thi kabhi rah-e-zindagi aa kar
wahin se paegi ek moD zindagi hum se
gae the abr-e-karam ban ke jaanib-e-sahra
kuchh aur baDh gai sahra ki tishnagi hum se
jo kal talak hamein tarik-tar samajhte the
wo aaj aae hain lene ko raushni hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.