koi nakaam nahin dida-e-tar ki manind
koī nākām nahīñ dīda-e-tar kī mānind
ashk Tapkeñ na agar ḳhūn-e-jigar kī mānind
hausla hai to kabhī shikva-e-uftād na kar
parda-e-shab se ubhar nūr-e-sahar kī mānind
rāt-din barq-e-balā rahtī hai masrūf-e-tavāf
ghar kisī aur kā kab hai mire ghar kī mānind
bartaraf sehn-e-chaman se mujhe karne vaalo
kaun kāñToñ ko chunegā gul-e-tar kī mānind
aañkh vaale to zamāne meñ bahut haiñ lekin
kis ne dekhā hai tujhe merī nazar kī mānind
kahkashāñ aur tirī rāhguzar nā-mumkin
haañ magar hai ye tirī rāhguzar kī mānind
kor-nazroñ se sivā kor-nazar haiñ 'zebā'
ye jo aate haiñ nazar ahl-e-nazar kī mānind
koi nakaam nahin dida-e-tar ki manind
ashk Tapken na agar KHun-e-jigar ki manind
hausla hai to kabhi shikwa-e-uftad na kar
parda-e-shab se ubhar nur-e-sahar ki manind
raat-din barq-e-bala rahti hai masruf-e-tawaf
ghar kisi aur ka kab hai mere ghar ki manind
bartaraf sehn-e-chaman se mujhe karne walo
kaun kanTon ko chunega gul-e-tar ki manind
aankh wale to zamane mein bahut hain lekin
kis ne dekha hai tujhe meri nazar ki manind
kahkashan aur teri rahguzar na-mumkin
han magar hai ye teri rahguzar ki manind
kor-nazron se siwa kor-nazar hain 'zeba'
ye jo aate hain nazar ahl-e-nazar ki manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.