koi nama nahin payam nahin
koī naama nahīñ payām nahīñ
ye mohabbat kā ehtirām nahīñ
gardishoñ kī navāzisheñ tauba
bāda-noshī bhī ab harām nahīñ
zindagī ko qarīb se dekhā
maut hī āḳhirī maqām nahīñ
ik pareshāñ hai dūsrā shādāñ
rasm jiine kī bhī to aam nahīñ
jashn hote haiñ sab dikhāve ke
sarfaroshoñ kā ehtirām nahīñ
kaam jitne haiñ sab adhūre haiñ
aur irāda bhī koī ḳhaam nahīñ
jin ko pās-e-adab nahīñ 'rāje'
bazm-e-ālam meñ un kā kaam nahīñ
koi nama nahin payam nahin
ye mohabbat ka ehtiram nahin
gardishon ki nawazishen tauba
baada-noshi bhi ab haram nahin
zindagi ko qarib se dekha
maut hi aaKHiri maqam nahin
ek pareshan hai dusra shadan
rasm jine ki bhi to aam nahin
jashn hote hain sab dikhawe ke
sarfaroshon ka ehtiram nahin
kaam jitne hain sab adhure hain
aur irada bhi koi KHam nahin
jin ko pas-e-adab nahin 'raje'
bazm-e-alam mein un ka kaam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.