koi nahin hai rashk-e-masiha kahen jise
koī nahīñ hai rashk-e-masīhā kaheñ jise
lekin hai dīd-e-yār mudāvā kaheñ jise
kiije zarūr zikr mirā jā-ba-jā magar
aisā na ho vo zikr ki shikva kaheñ jise
gesū-e-yār ruḳh pe ghaTā ban ke chhā ga.e
ye tīrgī hai yā shab-e-yaldā kaheñ jise
un kī nazar badalte hī duniyā badal ga.ī
sehr-e-nazar kaheñ yā karishma kaheñ jise
tum kyā ga.e ki dil bhī gayā jaan bhī ga.ī
ye hai dil aur jaan ye qabza kaheñ jise
karnā hai kaam kiije vahī is jahān maiñ
apne to apne ġhair bhī achchhā kaheñ jise
ab us ko bhī mahārat-e-fan kā ġhurūr hai
duniyā-e-fan kā kāġhaz-e-sāda kaheñ jise
sahrā-navard aaj bhī hai dekhiye huzūr
'ḳhākī' kaheñ yā aap kā shaidā kaheñ jise
koi nahin hai rashk-e-masiha kahen jise
lekin hai did-e-yar mudawa kahen jise
kije zarur zikr mera ja-ba-ja magar
aisa na ho wo zikr ki shikwa kahen jise
gesu-e-yar ruKH pe ghaTa ban ke chha gae
ye tirgi hai ya shab-e-yalda kahen jise
un ki nazar badalte hi duniya badal gai
sehr-e-nazar kahen ya karishma kahen jise
tum kya gae ki dil bhi gaya jaan bhi gai
ye hai dil aur jaan ye qabza kahen jise
karna hai kaam kije wahi is jahan main
apne to apne ghair bhi achchha kahen jise
ab us ko bhi mahaarat-e-fan ka ghurur hai
duniya-e-fan ka kaghaz-e-sada kahen jise
sahra-naward aaj bhi hai dekhiye huzur
'KHaki' kahen ya aap ka shaida kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.