koi naqsh kashi-o-kaba na tha
koī naqsh kāshī-o-kā'ba na thā
mire dil meñ jab tak 'aqīda na thā
har ik gaam par ek manzil sī thī
mire sāmne koī rasta na thā
tasavvur meñ bhī thī kiran aas kī
añdherā mukammal añdherā na thā
use jab bhī dekhā to aisā lagā
ki jaise kabhī us ko dekhā na thā
gunāhoñ kī pādāsh bhī ziist thī
faqat nekiyoñ hī kā samra na thā
use har nazar dekh paatī kahāñ
tajallī thī vo ik tamāshā na thā
isī zid meñ bas vo pilāte ga.e
ki pī pī ke 'jagdīsh' bahkā na thā
koi naqsh kashi-o-ka'ba na tha
mere dil mein jab tak 'aqida na tha
har ek gam par ek manzil si thi
mere samne koi rasta na tha
tasawwur mein bhi thi kiran aas ki
andhera mukammal andhera na tha
use jab bhi dekha to aisa laga
ki jaise kabhi us ko dekha na tha
gunahon ki padash bhi zist thi
faqat nekiyon hi ka samra na tha
use har nazar dekh pati kahan
tajalli thi wo ek tamasha na tha
isi zid mein bas wo pilate gae
ki pi pi ke 'jagdish' bahka na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.