koi nazron mein samae to ghazal hoti hai
koī nazroñ meñ samā.e to ġhazal hotī hai
chaah dīvāna banā.e to ġhazal hotī hai
dard jab hashr jagā.e to ġhazal hotī hai
aah jab raah na paa.e to ġhazal hotī hai
jaam par jaam chhalakte hoñ tirī nazroñ ke
aur ghaTā jhuum ke aa.e to ġhazal hotī hai
dil ko dīvāna-e-dīdār banā kar koī
parda chehre se uThā.e to ġhazal hotī hai
ho ke mā.il-ba-karam ġhair pe dilbar koī
dil pe aarā sā chalā.e to ġhazal hotī hai
'shaiḳh' āsāñ nahīñ tasḳhīr-e-suḳhan kī manzil
zindagī raas na aa.e to ġhazal hotī hai
koi nazron mein samae to ghazal hoti hai
chah diwana banae to ghazal hoti hai
dard jab hashr jagae to ghazal hoti hai
aah jab rah na pae to ghazal hoti hai
jam par jam chhalakte hon teri nazron ke
aur ghaTa jhum ke aae to ghazal hoti hai
dil ko diwana-e-didar bana kar koi
parda chehre se uThae to ghazal hoti hai
ho ke mail-ba-karam ghair pe dilbar koi
dil pe aara sa chalae to ghazal hoti hai
'shaiKH' aasan nahin tasKHir-e-suKHan ki manzil
zindagi ras na aae to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.