koi paDaw na ghar raste mein aaega
koī paḌāv na ghar rāste meñ aa.egā
safar ke baa'd safar rāste meñ aa.egā
kahāñ na jā.ūñ kahāñ jā.ūñ kyā karūñ āḳhir
tirā ḳhayāl to har rāste meñ aa.egā
chale to phir kahīñ ruknā hameñ pasand nahīñ
kisī kā gaañv magar rāste meñ aa.egā
guzarne vaalī havā.eñ batā rahī haiñ mujhe
koī purānā shajar rāste meñ aa.egā
chalā thā apne buzurgoñ se le ke jo 'dānish'
usī duā kā asar rāste meñ aa.egā
koi paDaw na ghar raste mein aaega
safar ke ba'd safar raste mein aaega
kahan na jaun kahan jaun kya karun aaKHir
tera KHayal to har raste mein aaega
chale to phir kahin rukna hamein pasand nahin
kisi ka ganw magar raste mein aaega
guzarne wali hawaen bata rahi hain mujhe
koi purana shajar raste mein aaega
chala tha apne buzurgon se le ke jo 'danish'
usi dua ka asar raste mein aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.