koi qafiya na mila saka koi wazn hi ko gira gaya
koi qafiya na mila saka koi wazn hi ko gira gaya
Sujit Sahgal Haasil
MORE BYSujit Sahgal Haasil
koī qāfiya na milā sakā koī vazn hī ko girā gayā
maiñ to us zamīn kī huuñ ġhazal jise phir kabhī na kahā gayā
use rok luuñ mire paas ab na koī bhī aisā kamāl hai
mujhe naaz thā mire ishq par vo yaqīñ hilā ke chalā gayā
karūñ shukriya bhī adā tirā mujhe rañj hai ye na ho sakā
mirī ḳhūbiyāñ to dikhā.īñ sab mire aib saare chhupā gayā
kabhī uḌ sakūñ maiñ falak pe bhī na ho Dar mujhe kisī baat kā
kiyā ḳhatm yuuñ mirā ḳhauf sab mirā hausla vo baḌhā gayā
mire shahr terī fasīl par jo likhī huī thiiñ kahāniyāñ
hai gila mujhe unhīñ vaqt kā jo azaab thā vo miTā gayā
na tū kah use yuuñ burā-bhalā jo chalā gayā hameñ chhoḌ kar
jo kabhī bhulā.e na jā sakeñ vo sabaq bhī ham ko sikhā gayā
mujhe āftāb ko dekh kar huā rañj kitnā ki dhund meñ
vo chamak jo thī use kis liye vo jahāñ meñ ham pe luTā gayā
jise duur kar ke 'sujīt' tū yūñhī bhāgtā jo rahā sadā
na adiib thā na habīb thā tujhe aa.ina jo dikhā gayā
koi qafiya na mila saka koi wazn hi ko gira gaya
main to us zamin ki hun ghazal jise phir kabhi na kaha gaya
use rok lun mere pas ab na koi bhi aisa kamal hai
mujhe naz tha mere ishq par wo yaqin hila ke chala gaya
karun shukriya bhi ada tera mujhe ranj hai ye na ho saka
meri KHubiyan to dikhain sab mere aib sare chhupa gaya
kabhi uD sakun main falak pe bhi na ho Dar mujhe kisi baat ka
kiya KHatm yun mera KHauf sab mera hausla wo baDha gaya
mere shahr teri fasil par jo likhi hui thin kahaniyan
hai gila mujhe unhin waqt ka jo azab tha wo miTa gaya
na tu kah use yun bura-bhala jo chala gaya hamein chhoD kar
jo kabhi bhulae na ja saken wo sabaq bhi hum ko sikha gaya
mujhe aaftab ko dekh kar hua ranj kitna ki dhund mein
wo chamak jo thi use kis liye wo jahan mein hum pe luTa gaya
jise dur kar ke 'sujit' tu yunhi bhagta jo raha sada
na adib tha na habib tha tujhe aaina jo dikha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.