koi raste ka patthar ban gaya hai
koī raste kā patthar ban gayā hai
bichhaḌnā hī muqaddar ban gayā hai
jahāñ bichhḌe the ham ik baar mil ke
kisī kā us jagah ghar ban gayā hai
use karnā thī beTī kī hifāzat
sipāhī se vo lashkar ban gayā hai
mire dil ne bahut jhele haiñ sadme
ab is dīvār meñ dar ban gayā hai
tirā lahja hai zahrīlā kuchh itnā
tirā har lafz nashtar ban gayā hai
ravānī āñsuoñ kī kah rahī hai
jo dariyā thā samundar ban gayā hai
yahāñ fōtpath par gaz bhar kā raqba
kisī muflis kā bistar ban gayā hai
tire ruḳhsār par jis vaqt Dhalkā
vo ik aañsū bhī gauhar ban gayā hai
koi raste ka patthar ban gaya hai
bichhaDna hi muqaddar ban gaya hai
jahan bichhDe the hum ek bar mil ke
kisi ka us jagah ghar ban gaya hai
use karna thi beTi ki hifazat
sipahi se wo lashkar ban gaya hai
mere dil ne bahut jhele hain sadme
ab is diwar mein dar ban gaya hai
tera lahja hai zahrila kuchh itna
tera har lafz nashtar ban gaya hai
rawani aansuon ki kah rahi hai
jo dariya tha samundar ban gaya hai
yahan footpath par gaz bhar ka raqba
kisi muflis ka bistar ban gaya hai
tere ruKHsar par jis waqt Dhalka
wo ek aansu bhi gauhar ban gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.