koi rauzan na koi dar hua hai
koī rauzan na koī dar huā hai
lahū se tar-ba-tar ye sar huā hai
uThātā hī nahīñ hai phone jab se
aligarh meñ professor huā hai
maiñ jis se chāhtā huuñ bach ke rahnā
usī kā sāmnā aksar huā hai
guzārī jis ne hai be-rah-ravī meñ
vahī us qaum kā rahbar huā hai
mirī ḳhāna-badoshī qabr tak thī
gañvā dī jaan tab ye ghar huā hai
abhī to shāne tak hī sar hai 'dānish'
kahāñ se tū mirā ham-sar huā hai
koi rauzan na koi dar hua hai
lahu se tar-ba-tar ye sar hua hai
uThata hi nahin hai phone jab se
aligarh mein professor hua hai
main jis se chahta hun bach ke rahna
usi ka samna aksar hua hai
guzari jis ne hai be-rah-rawi mein
wahi us qaum ka rahbar hua hai
meri KHana-badoshi qabr tak thi
ganwa di jaan tab ye ghar hua hai
abhi to shane tak hi sar hai 'danish'
kahan se tu mera ham-sar hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.