koi ret raqs mein mast thi ki hawa chali thi surur se
koī ret raqs meñ mast thī ki havā chalī thī surūr se
tire zāviye pe hī ghūmtā huā aa gayā koī duur se
tujhe itne paas se dekh le koī ahl hai na ye sahl hai
kabhī jism ghultā hai aag meñ kabhī aañkh jaltī hai nuur se
mujhe koī fikr-e-fanā bhī kyā maiñ to jāntā huuñ baqā hai kyā
tujhe DhūñDne se nahīñ milā maiñ ne pā liyā hai shu'ūr se
koī aur mujh meñ hunar na thā mujhe bandagī ne baḌā kiyā
use shahnshāh ne bhī rad kiyā vo bharā huā thā ġhurūr se
mire kārī-gar tire bas meñ hai ye hayāt bhī ye mamāt bhī
tirī kun se hai mirī ibtidā mirī intihā tire suur se
na hī koī naġhma na saaz bhī na hī zindagī kā javāz bhī
to kyā miT gayā hai 'shīrāz' bhī tirī dāstāñ kī sutūr se
koi ret raqs mein mast thi ki hawa chali thi surur se
tere zawiye pe hi ghumta hua aa gaya koi dur se
tujhe itne pas se dekh le koi ahl hai na ye sahl hai
kabhi jism ghulta hai aag mein kabhi aankh jalti hai nur se
mujhe koi fikr-e-fana bhi kya main to jaanta hun baqa hai kya
tujhe DhunDne se nahin mila main ne pa liya hai shu'ur se
koi aur mujh mein hunar na tha mujhe bandagi ne baDa kiya
use shahnshah ne bhi rad kiya wo bhara hua tha ghurur se
mere kari-gar tere bas mein hai ye hayat bhi ye mamat bhi
teri kun se hai meri ibtida meri intiha tere sur se
na hi koi naghma na saz bhi na hi zindagi ka jawaz bhi
to kya miT gaya hai 'shiraaz' bhi teri dastan ki sutur se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.