Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi saya achchhe sain dhup bahut hai

Noon Meem Danish

koi saya achchhe sain dhup bahut hai

Noon Meem Danish

MORE BYNoon Meem Danish

    koī saayā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    mar jā.ūñgā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    sāñvlī rut meñ ḳhvāb jale to aañkh khulī hai

    maiñ ne dekhā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    ab ke mausam yahī rahe to mar jā.egā

    ik ik lamha achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    koī Thikāna baḳhsh use jo ghuum rahā hai

    maarā maarā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    ek to dil ke raste bhī dushvār bahut haiñ

    phir maiñ pyāsā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    koī saayā aag meñ jalne vāloñ par bhī

    koī purvā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    raat ko ik pāgal ne shahr dīvāroñ par

    ḳhuun se likhā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    achchhe sā.īñ maan liyā duniyā hai raushan

    lekin ye kyā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    kaun thā jis se dil hālat kah paatā maiñ

    kis se kahtā achchhe sā.īñ dhuup bahut hai

    koi saya achchhe sain dhup bahut hai

    mar jaunga achchhe sain dhup bahut hai

    sanwli rut mein KHwab jale to aankh khuli hai

    main ne dekha achchhe sain dhup bahut hai

    ab ke mausam yahi rahe to mar jaega

    ek ek lamha achchhe sain dhup bahut hai

    koi Thikana baKHsh use jo ghum raha hai

    mara mara achchhe sain dhup bahut hai

    ek to dil ke raste bhi dushwar bahut hain

    phir main pyasa achchhe sain dhup bahut hai

    koi saya aag mein jalne walon par bhi

    koi purwa achchhe sain dhup bahut hai

    raat ko ek pagal ne shahr ki diwaron par

    KHun se likha achchhe sain dhup bahut hai

    achchhe sain man liya duniya hai raushan

    lekin ye kya achchhe sain dhup bahut hai

    kaun tha jis se dil ki haalat kah pata main

    kis se kahta achchhe sain dhup bahut hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now