koi saya pas-e-diwar Thahar jaega
koī saayā pas-e-dīvār Thahar jā.egā
raushnī vaalā jise dekh ke Dar jā.egā
is ke aage tire sāhil kā badan chamkegā
dil samundar hai yahīñ aa ke Thahar jā.egā
dil abhī hijr ke aaseb kā shaidā.ī hai
vasl barsegā to ye bhuut utar jā.egā
chashm-e-hairat se ubal paḌne ko hai surḳh furāt
maiñ bhī ab maan ke baiThā huuñ ki sar jā.egā
koi saya pas-e-diwar Thahar jaega
raushni wala jise dekh ke Dar jaega
is ke aage tere sahil ka badan chamkega
dil samundar hai yahin aa ke Thahar jaega
dil abhi hijr ke aaseb ka shaidai hai
wasl barsega to ye bhut utar jaega
chashm-e-hairat se ubal paDne ko hai surKH furaat
main bhi ab man ke baiTha hun ki sar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.