koi samjhe dard kya naKHchir ka
koī samjhe dard kyā naḳhchīr kā
falsafa 'ġhālib' kā aur ġham 'mīr' kā
bas ta'āruf Thos honā chāhiye
tarjumāñ har she'r hai tāsīr kā
zindagī kā kuchh bhī to hāsil nahīñ
haañ magar ik naaz hai tahrīr kā
kaun aa.egā mirī turbat pe ab
kyā banegā ḳhaak kī taqdīr kā
ham hī kyoñ barpā kareñ tūfān-e-ġham
us ne kab sochā dil-e-dil-gīr kā
aane vaale kī ḳhabar aatī nahīñ
kyā sabab qāsid kī is tāḳhīr kā
us ne to dekhā nahīñ jī bhar ke bhī
zaḳhm thā taqdīr meñ taqsīr kā
kyā huī insāniyat 'jogī' tirī
kyā banā us ḳhvāb kī tā'bīr kā
koi samjhe dard kya naKHchir ka
falsafa 'ghaalib' ka aur gham 'mir' ka
bas ta'aruf Thos hona chahiye
tarjuman har she'r hai tasir ka
zindagi ka kuchh bhi to hasil nahin
han magar ek naz hai tahrir ka
kaun aaega meri turbat pe ab
kya banega KHak ki taqdir ka
hum hi kyon barpa karen tufan-e-gham
us ne kab socha dil-e-dil-gir ka
aane wale ki KHabar aati nahin
kya sabab qasid ki is taKHir ka
us ne to dekha nahin ji bhar ke bhi
zaKHm tha taqdir mein taqsir ka
kya hui insaniyat 'jogi' teri
kya bana us KHwab ki ta'bir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.