koi sapna dikhaya ja raha hai
koī sapnā dikhāyā jā rahā hai
ki ham ko āzmāyā jā rahā hai
sadāqat saañs yuuñ to le rahī thī
use zinda jalāyā jā rahā hai
madārī aur hai parde ke pīchhe
hameñ to bas nachāyā jā rahā hai
diyā thā zahr jo ham ne kisī ko
vahī ham ko pilāyā jā rahā hai
sunā hai sach kā vo haamī bahut thā
jise suulī chaḌhāyā jā rahā hai
chalī jaa.e na bīnā.ī hamārī
jo ye manzar dikhāyā jā rahā hai
vahīñ tak hī 'nazar' aatā hai mujh ko
jahāñ tak merā saayā jā rahā hai
koi sapna dikhaya ja raha hai
ki hum ko aazmaya ja raha hai
sadaqat sans yun to le rahi thi
use zinda jalaya ja raha hai
madari aur hai parde ke pichhe
hamein to bas nachaya ja raha hai
diya tha zahr jo hum ne kisi ko
wahi hum ko pilaya ja raha hai
suna hai sach ka wo hami bahut tha
jise suli chaDhaya ja raha hai
chali jae na binai hamari
jo ye manzar dikhaya ja raha hai
wahin tak hi 'nazar' aata hai mujh ko
jahan tak mera saya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.