koi shama aur koi parwana hoga
koī sham.a aur koī parvāna hogā
jahāñ meñ ishq kā afsāna hogā
junūn-e-ishq se hai lutf-e-hastī
vo dīvāna hai jo farāzānā hogā
tire mastoñ kā ai kausar ke saaqī
vahī paimāñ vahī paimāna hogā
ḳharābāt-e-jahāñ vaqf-e-fanā hai
magar baaqī tirā mai-ḳhāna hogā
ravāñ haiñ kārvāñ jis kī taraf sab
yahī vo kūcha-e-jānāna hogā
vo dil hī kyā ki raqs-e-mauj jis kā
harīf-e-jumbish-e-dariyā na hogā
vabāl-e-dosh hai vo sar ki jis meñ
kisī ke ishq kā saudā na hogā
jise shahd-o-shakar kī aarzū hai
lab-e-noshīñ kā vo rasiyā na hogā
mohabbat ke haiñ rañgā-rañg nairañg
kahīñ afsūñ kahīñ afsāna hogā
parastārī hai tīnat meñ bashar kī
jahāñ ka.aba nahīñ but-ḳhāna hogā
payāmī se kisī ne kah diyā hai
ki 'nāzir' se koī parvāna hogā
koi shama aur koi parwana hoga
jahan mein ishq ka afsana hoga
junun-e-ishq se hai lutf-e-hasti
wo diwana hai jo faraazana hoga
tere maston ka ai kausar ke saqi
wahi paiman wahi paimana hoga
KHarabaat-e-jahan waqf-e-fana hai
magar baqi tera mai-KHana hoga
rawan hain karwan jis ki taraf sab
yahi wo kucha-e-jaanana hoga
wo dil hi kya ki raqs-e-mauj jis ka
harif-e-jumbish-e-dariya na hoga
wabaal-e-dosh hai wo sar ki jis mein
kisi ke ishq ka sauda na hoga
jise shahd-o-shakar ki aarzu hai
lab-e-noshin ka wo rasiya na hoga
mohabbat ke hain ranga-rang nairang
kahin afsun kahin afsana hoga
parastari hai tinat mein bashar ki
jahan kaba nahin but-KHana hoga
payami se kisi ne kah diya hai
ki 'nazir' se koi parwana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.