koi shisha nahin sharab nahin
koī shīsha nahīñ sharāb nahīñ
shām-e-hijrāñ tirā javāb nahīñ
jaane kyoñ aadmī ke chehre par
ab vo pahlī sī āb-o-tāb nahīñ
ḳhāmushī bhī hai be-misāl tirī
terī bātoñ kā bhī javāb nahīñ
mere sāġhar meñ laala guuñ sī vo shai
ḳhūn-e-dil hai mirā sharāb nahīñ
har koī jis ko paḌh sake ai dost
zindagī vo khulī kitāb nahīñ
aur sab terī bazm-e-nāz meñ haiñ
ik tirā ḳhānumāñ-ḳharāb nahīñ
fasl-e-gul meñ ye shāḳh-e-gul pe kañval
dekhtā huuñ koī gulāb nahīñ
koi shisha nahin sharab nahin
sham-e-hijran tera jawab nahin
jaane kyon aadmi ke chehre par
ab wo pahli si aab-o-tab nahin
KHamushi bhi hai be-misal teri
teri baaton ka bhi jawab nahin
mere saghar mein lala gun si wo shai
KHun-e-dil hai mera sharab nahin
har koi jis ko paDh sake ai dost
zindagi wo khuli kitab nahin
aur sab teri bazm-e-naz mein hain
ek tera KHanuman-KHarab nahin
fasl-e-gul mein ye shaKH-e-gul pe kanwal
dekhta hun koi gulab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.