koi shikwa na shikayat hai bichhaDne wale
koī shikva na shikāyat hai bichhaḌne vaale
bevafā.ī tirī aadat hai bichhaḌne vaale
ham jo zinda haiñ to zinda bhī nahīñ haiñ dekho
ik bapā roz qayāmat hai bichhaḌne vaale
merī sāñsoñ kī ravānī kā sabab pūchhte ho
tere chehre kī tilāvat hai bichhaḌne vaale
chain tum ko jo nahīñ aatā kisī bhī lamhe
ye mohabbat kī alāmat hai bichhaḌne vaale
mujh ko kirdār mayassar nahīñ afsāne meñ
ye kahānī meñ qabāhat hai bichhaḌne vaale
tū jo bichhḌā hai ise saath hī le jaanā thā
dil ki terī hī amānat hai bichhaḌne vaale
apnā ushshāq-qabīle se ta.alluq gahrā
ġham kī jāgīr virāsat hai bichhaḌne vaale
merā da.avā thā bichhaḌ kar na jiyūñgā lekin
ab jo zinda huuñ nadāmat hai bichhaḌne vaale
qalb-e-shāhī pe jo chaltā hai to sikka terā
dil pe terī hī hukūmat hai bichhaḌne vaale
koi shikwa na shikayat hai bichhaDne wale
bewafai teri aadat hai bichhaDne wale
hum jo zinda hain to zinda bhi nahin hain dekho
ek bapa roz qayamat hai bichhaDne wale
meri sanson ki rawani ka sabab puchhte ho
tere chehre ki tilawat hai bichhaDne wale
chain tum ko jo nahin aata kisi bhi lamhe
ye mohabbat ki alamat hai bichhaDne wale
mujh ko kirdar mayassar nahin afsane mein
ye kahani mein qabahat hai bichhaDne wale
tu jo bichhDa hai ise sath hi le jaana tha
dil ki teri hi amanat hai bichhaDne wale
apna ushshaq-qabile se talluq gahra
gham ki jagir wirasat hai bichhaDne wale
mera dawa tha bichhaD kar na jiyunga lekin
ab jo zinda hun nadamat hai bichhaDne wale
qalb-e-shahi pe jo chalta hai to sikka tera
dil pe teri hi hukumat hai bichhaDne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.