koi shikwa na shikayat na gila rakkha hai
koī shikva na shikāyat na gila rakkhā hai
terī mahfil meñ yahī pās-e-vafā rakkhā hai
na to dastār hai sar par na qabā jism pe hai
shaiḳh jī aap ne kyā haal banā rakkhā hai
ab to aa jā.iye yaañ majma.a-e-rindāñ ke qarīb
shaam hī se dar-e-mai-ḳhāna sajā rakkhā hai
muntazir aap ke sab jām-ba-kaf baiThe haiñ
aap ke naam kā ik jaam uThā rakkhā hai
is ḳharābe se ḳharābī kā tasavvur hai gunāh
pārsā.ī kā bharam us ne sivā rakkhā hai
chakh bhī liije ki nikal jaa.e zarā hasrat-e-mai
dil meñ maanā ki bahut ḳhauf-e-ḳhudā rakkhā hai
le chalegā taraf-e-dasht-e-balā shauq-navard
kyā kaheñ durd-e-tah-e-jām meñ kyā rakkhā hai
koi shikwa na shikayat na gila rakkha hai
teri mahfil mein yahi pas-e-wafa rakkha hai
na to dastar hai sar par na qaba jism pe hai
shaiKH ji aap ne kya haal bana rakkha hai
ab to aa jaiye yan majma-e-rindan ke qarib
sham hi se dar-e-mai-KHana saja rakkha hai
muntazir aap ke sab jam-ba-kaf baiThe hain
aap ke nam ka ek jam uTha rakkha hai
is KHarabe se KHarabi ka tasawwur hai gunah
parsai ka bharam us ne siwa rakkha hai
chakh bhi lije ki nikal jae zara hasrat-e-mai
dil mein mana ki bahut KHauf-e-KHuda rakkha hai
le chalega taraf-e-dasht-e-bala shauq-naward
kya kahen durd-e-tah-e-jam mein kya rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.