koi shikwa tha shikayat thi gila tha kya tha
koī shikva thā shikāyat thī gilā thā kyā thā
us ne jo kaan meñ chupke se kahā thā kyā thā
bhuul kuchh mujh se huī thī ki ḳhatā us kī thī
jo sabab tark-e-ta.alluq kā banā thā kyā thā
sochtā huuñ vo thā dīvāna ki thā saudā.ī
pyaar meñ tū ne jo ik naam diyā thā kyā thā
bārhā phone pe us ne jo kahā thā mujh se
sāmne kyuuñ vo mire kah na sakā thā kyā thā
aaj tak bhī na samajh paayā maiñ āñkhoñ meñ tirī
makr-e-rañgīñ thā ki phir rañg-e-vafā thā kyā thā
thā agar ġhair mujhe chhoḌ ke jaane vaalā
kyuuñ ga.ī raat maiñ phir so na sakā thā kyā thā
us kī guftār meñ laġhzish thī nigāheñ bechain
us kī āñkhoñ meñ koī raaz chhupā thā kyā thā
kyuuñ vo maġhrūr sar-e-bazm khaḌā thā 'gauhar'
us kī fitrat thī ki daulat kā nasha thā kyā thā
koi shikwa tha shikayat thi gila tha kya tha
us ne jo kan mein chupke se kaha tha kya tha
bhul kuchh mujh se hui thi ki KHata us ki thi
jo sabab tark-e-talluq ka bana tha kya tha
sochta hun wo tha diwana ki tha saudai
pyar mein tu ne jo ek nam diya tha kya tha
barha phone pe us ne jo kaha tha mujh se
samne kyun wo mere kah na saka tha kya tha
aaj tak bhi na samajh paya main aankhon mein teri
makr-e-rangin tha ki phir rang-e-wafa tha kya tha
tha agar ghair mujhe chhoD ke jaane wala
kyun gai raat main phir so na saka tha kya tha
us ki guftar mein laghzish thi nigahen bechain
us ki aankhon mein koi raaz chhupa tha kya tha
kyun wo maghrur sar-e-bazm khaDa tha 'gauhar'
us ki fitrat thi ki daulat ka nasha tha kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.