koi shoala hai ki shabnam nahin dekha jata
koī sho.ala hai ki shabnam nahīñ dekhā jaatā
jāda-e-ishq pe mausam nahīñ dekhā jaatā
aanā hotā hai to aa jaatā hai tūfān zarūr
ḳhushk sāhil hai ki hai nam nahīñ dekhā jaatā
dekhā jaatā hai ki kaun aa gayā manzil pahle
raah meñ kis ne liyā dam nahīñ dekhā jaatā
dekhā jaatā hai diye kis ne jalā.e kitne
sirf zulmāt kā mātam nahīñ dekhā jaatā
haal bhī saaf nazar aa.e zarūrī hai 'nihāl'
sirf maazī hī kā album nahīñ dekhā jaatā
koi shoala hai ki shabnam nahin dekha jata
jada-e-ishq pe mausam nahin dekha jata
aana hota hai to aa jata hai tufan zarur
KHushk sahil hai ki hai nam nahin dekha jata
dekha jata hai ki kaun aa gaya manzil pahle
rah mein kis ne liya dam nahin dekha jata
dekha jata hai diye kis ne jalae kitne
sirf zulmat ka matam nahin dekha jata
haal bhi saf nazar aae zaruri hai 'nihaal'
sirf mazi hi ka album nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.