koi sunta nahin sahra ki sada ho jaise
koī suntā nahīñ sahrā kī sadā ho jaise
merī fariyād bhī muflis kī duā ho jaise
tere aane se ye ehsās huā hai mujh ko
baa'd muddat ke diyā ghar meñ jalā ho jaise
vaqt-e-ruḳhsat tirī palkoñ pe chamakte aañsū
thartharātā sā havāoñ meñ diyā ho jaise
tere ruḳhsār pe phaile hue gesū hamdam
ruḳh pe mahtāb ke sāvan kī ghaTā ho jaise
apne hālāt kī tashrīh faqat hai itnī
tapte sahrā meñ koī shaḳhs khaḌā ho jaise
zindagī aise masā.il meñ ghirī hai us kī
'nasr' par koī burā vaqt paḌā ho jaise
koi sunta nahin sahra ki sada ho jaise
meri fariyaad bhi muflis ki dua ho jaise
tere aane se ye ehsas hua hai mujh ko
ba'd muddat ke diya ghar mein jala ho jaise
waqt-e-ruKHsat teri palkon pe chamakte aansu
thartharaata sa hawaon mein diya ho jaise
tere ruKHsar pe phaile hue gesu hamdam
ruKH pe mahtab ke sawan ki ghaTa ho jaise
apne haalat ki tashrih faqat hai itni
tapte sahra mein koi shaKHs khaDa ho jaise
zindagi aise masail mein ghiri hai us ki
'nasr' par koi bura waqt paDa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.