koi suragh koi naqsh-e-pa nahin milta
koī surāġh koī naqsh-e-pā nahīñ miltā
tumhāre shahr kā ab rāsta nahīñ miltā
kaho to tum ko ḳhudā maan leñ mohabbat kā
ki ham ko tum sā koī dūsrā nahīñ miltā
ye dasht-e-hijr kī vahshat hai sāhibān-e-vafā
yahāñ kisī ko koī aasrā nahīñ miltā
suno hameñ hī jalā do ki raushnī ke liye
hamāre shahr ko koī diyā nahīñ miltā
havā ne kar diyā pāmāl raushnī kā badan
charāġh-e-bām kā koī pata nahīñ miltā
hameñ to jis ne pukārā ḳhudā lagā ham ko
vo kaun log haiñ jin ko ḳhudā nahīñ miltā
jahāñ pe kaaTī thī tāzīr-e-ābla-pā.ī
yahīñ kahīñ thā koī dasht sā nahīñ miltā
ajiib shahr hai kūfa-mizāj logoñ kā
koī bhī shaḳhs qarīn-e-vafā nahīñ miltā
ye vahshatoñ ko baḌhāne kā vaqt hai shāh-jī
ki ḳhushbūoñ kā koī silsila nahīñ miltā
koi suragh koi naqsh-e-pa nahin milta
tumhaare shahr ka ab rasta nahin milta
kaho to tum ko KHuda man len mohabbat ka
ki hum ko tum sa koi dusra nahin milta
ye dasht-e-hijr ki wahshat hai sahiban-e-wafa
yahan kisi ko koi aasra nahin milta
suno hamein hi jala do ki raushni ke liye
hamare shahr ko koi diya nahin milta
hawa ne kar diya pamal raushni ka badan
charagh-e-baam ka koi pata nahin milta
hamein to jis ne pukara KHuda laga hum ko
wo kaun log hain jin ko KHuda nahin milta
jahan pe kaTi thi tazir-e-abla-pai
yahin kahin tha koi dasht sa nahin milta
ajib shahr hai kufa-mizaj logon ka
koi bhi shaKHs qarin-e-wafa nahin milta
ye wahshaton ko baDhane ka waqt hai shah-ji
ki KHushbuon ka koi silsila nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.