koi surat bata sukun ki mujhe
koī sūrat batā sukūñ kī mujhe
hai zarūrat zarā sukūñ kī mujhe
merī āñkhoñ se chhīn kar nīñdeñ
us ne dī hai du'ā sukūñ kī mujhe
maañ ke pairoñ meñ baiTh kar jaanā
mil ga.ī hai jagah sukūñ kī mujhe
kuchh nahīñ māñgtā huuñ maiñ mālik
kar de ne'mat 'atā sukūñ kī mujhe
ek muflis kā jhoñpaḌā jis se
aa rahī hai sadā sukūñ kī mujhe
dekh le be-qarāriyāñ merī
de masīhā davā sukūñ kī mujhe
koi surat bata sukun ki mujhe
hai zarurat zara sukun ki mujhe
meri aankhon se chhin kar ninden
us ne di hai du'a sukun ki mujhe
man ke pairon mein baiTh kar jaana
mil gai hai jagah sukun ki mujhe
kuchh nahin mangta hun main malik
kar de ne'mat 'ata sukun ki mujhe
ek muflis ka jhonpaDa jis se
aa rahi hai sada sukun ki mujhe
dekh le be-qarariyan meri
de masiha dawa sukun ki mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.