koi surat meri aankhon ko dikhai nahin de
koī sūrat mirī āñkhoñ ko dikhā.ī nahīñ de
terī āvāz jo kānoñ ko sunā.ī nahīñ de
chhoḌ jaa.e vo mujhe dhuup kī rut meñ tanhā
haañ magar mausam-e-bārāñ meñ judā.ī nahīñ de
maiñ ne dekhā hai aTal ishq ko qismat kī tarah
ye vo sayyād ki tā-umr rihā.ī nahīñ de
ātish-e-pā-e-brāhīm bujhāne vaale
ab ke sahrā meñ mujhe ābla-pā.ī nahīñ de
bas adālat meñ tire ishq kī hāzir ho jaa.e
dil vo mulzim ki kabhī apnī safā.ī nahīñ de
koi surat meri aankhon ko dikhai nahin de
teri aawaz jo kanon ko sunai nahin de
chhoD jae wo mujhe dhup ki rut mein tanha
han magar mausam-e-baran mein judai nahin de
main ne dekha hai aTal ishq ko qismat ki tarah
ye wo sayyaad ki ta-umr rihai nahin de
aatish-e-pa-e-brahim bujhane wale
ab ke sahra mein mujhe aabla-pai nahin de
bas adalat mein tere ishq ki hazir ho jae
dil wo mulzim ki kabhi apni safai nahin de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.