koi taza ghazal suni hai abhi
koī taaza ġhazal sunī hai abhī
dil meñ ik Tiis sī uThī hai abhī
tez bārish meñ nek bandoñ kī
koī dīvār thī girī hai abhī
is tarah hai udaas merī galī
jaise beva koī huī hai abhī
sirf merā hī ghar thā bosīda
barq is par hī bas girī hai abhī
baad kī kuchh ḳhabar nahīñ hamdam
zindagī mujh ko DhūñDhtī hai abhī
ThanDā jhoñkā havā kā aaya hai
kyā sabā mujh ko DhūñDhtī hai abhī
vaqt achchhā kabhī na aa.egā
rahzanī raah meñ khaḌī hai abhī
maut āñkheñ bichhā.e baiThī hai
zindagī mujh se kah ga.ī hai abhī
merī manzil to aa.egī 'rāhī'
justujū meñ shaguftagī hai abhī
koi taza ghazal suni hai abhi
dil mein ek Tis si uThi hai abhi
tez barish mein nek bandon ki
koi diwar thi giri hai abhi
is tarah hai udas meri gali
jaise bewa koi hui hai abhi
sirf mera hi ghar tha bosida
barq is par hi bas giri hai abhi
baad ki kuchh KHabar nahin hamdam
zindagi mujh ko DhunDhti hai abhi
ThanDa jhonka hawa ka aaya hai
kya saba mujh ko DhunDhti hai abhi
waqt achchha kabhi na aaega
rahzani rah mein khaDi hai abhi
maut aankhen bichhae baiThi hai
zindagi mujh se kah gai hai abhi
meri manzil to aaegi 'rahi'
justuju mein shaguftagi hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.