koi tadbir kargar na hui
koī tadbīr kārgar na huī
shāḳh-e-ummīd pur-samar na huī
baḌh gayā aur dard-e-soz-o-gudāz
kārgar fikr-e-chārāgar na huī
tāb-e-nazāra koī lā na sakā
is liye aap ko nazar na huī
kaun se din tire tasavvur se
merī shab rū-kash-e-sahar na huī
jis ko dekhā usī kā kaam kiyā
teġh-e-burrāñ huī nazar na huī
us ko manzil kī kyā ḳhabar jis kī
nigah-e-lutf rāhbar na huī
sa.ī-e-be-kār kā maza aaya
kāmyābī hameñ agar na huī
be-ḳhudī kā koī Thikānā hai
koī aayā hameñ ḳhabar na huī
jis ne us kī koī ḳhabar paa.ī
us ko apnī kabhī ḳhabar na huī
us ko kyā iid kā maza aaya
iid jis ġham-zada kī ghar na huī
hijr kī shab bhī kyā qayāmat thī
umr guzrī magar sahar na huī
lutf se jis ne tum ko dekh liyā
us ko taskīn umr bhar na huī
naala sharminda-e-kashish na huā
aah minnat-kash-e-asar na huī
umr bhar roz-o-shab guzarte rahe
ḳhatm rūdād-e-ġham magar na huī
jaan jin ko aziiz thī 'as.ad'
un se tai rāh-e-pur-ḳhatar na huī
koi tadbir kargar na hui
shaKH-e-ummid pur-samar na hui
baDh gaya aur dard-e-soz-o-gudaz
kargar fikr-e-chaaragar na hui
tab-e-nazara koi la na saka
is liye aap ko nazar na hui
kaun se din tere tasawwur se
meri shab ru-kash-e-sahar na hui
jis ko dekha usi ka kaam kiya
tegh-e-burran hui nazar na hui
us ko manzil ki kya KHabar jis ki
nigah-e-lutf rahbar na hui
sai-e-be-kar ka maza aaya
kaamyabi hamein agar na hui
be-KHudi ka koi Thikana hai
koi aaya hamein KHabar na hui
jis ne us ki koi KHabar pai
us ko apni kabhi KHabar na hui
us ko kya id ka maza aaya
id jis gham-zada ki ghar na hui
hijr ki shab bhi kya qayamat thi
umr guzri magar sahar na hui
lutf se jis ne tum ko dekh liya
us ko taskin umr bhar na hui
nala sharminda-e-kashish na hua
aah minnat-kash-e-asar na hui
umr bhar roz-o-shab guzarte rahe
KHatm rudad-e-gham magar na hui
jaan jin ko aziz thi 'asad'
un se tai rah-e-pur-KHatar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.