koi taklif hamari hai na gham aap ke hain
koi taklif hamari hai na gham aap ke hain
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
koī taklīf hamārī hai na ġham aap ke haiñ
aaj se aap hamāre haiñ na ham aap ke haiñ
ye haqīqat hai bahut jaur-o-sitam aap ke haiñ
phir bhī īmān se kahte haiñ ki ham aap ke haiñ
ik bahāna hameñ mil jā.egā jiine ke liye
uuprī dil hī se kah dījiye ham aap ke haiñ
yak-ba-yak merī jabīñ meñ taḌap uTThe sajde
maiñ samajhtā huuñ yahāñ naqsh-e-qadam aap ke haiñ
ba.az auqāt ḳhushī jaan pe ban jaatī hai
ham se hargiz na kaheñ aap ki ham aap ke haiñ
jazba-e-ishq to mub.ham kabhī hotā hī nahīñ
aap kī zid pe kahe dete haiñ ham aap ke haiñ
ham bhī haiñ kār-e-ḳhudā.ī meñ barābar ke sharīk
aap kahte haiñ to ye lauh-o-qalam aap ke haiñ
chuTkiyāñ leñ dil-e-be-tāb meñ to hañs hañs kar
kitne ma.asūm ye andāz-e-sitam aap ke haiñ
ham vafā-keshoñ ke dam se hai ye satvat ye uruuj
aap ke ham haiñ to ye jāh-o-hasham aap ke haiñ
ham se kahte haiñ ki ta.abīr batānā is kī
ḳhvāb meñ ham ne qasam khaa.ī hai ham aap ke haiñ
aap lillāh ilāj-e-ġham-e-daurāñ na kareñ
ġham-e-daurāñ se kahīñ baḌh ke sitam aap ke haiñ
araq-ālūd jabīñ nīchī nazar kāñpte lab
isī aalam meñ phir ik baar ki ham aap ke haiñ
koi taklif hamari hai na gham aap ke hain
aaj se aap hamare hain na hum aap ke hain
ye haqiqat hai bahut jaur-o-sitam aap ke hain
phir bhi iman se kahte hain ki hum aap ke hain
ek bahana hamein mil jaega jine ke liye
upri dil hi se kah dijiye hum aap ke hain
yak-ba-yak meri jabin mein taDap uTThe sajde
main samajhta hun yahan naqsh-e-qadam aap ke hain
baz auqat KHushi jaan pe ban jati hai
hum se hargiz na kahen aap ki hum aap ke hain
jazba-e-ishq to mubham kabhi hota hi nahin
aap ki zid pe kahe dete hain hum aap ke hain
hum bhi hain kar-e-KHudai mein barabar ke sharik
aap kahte hain to ye lauh-o-qalam aap ke hain
chuTkiyan len dil-e-be-tab mein to hans hans kar
kitne masum ye andaz-e-sitam aap ke hain
hum wafa-keshon ke dam se hai ye satwat ye uruj
aap ke hum hain to ye jah-o-hasham aap ke hain
hum se kahte hain ki tabir batana is ki
KHwab mein hum ne qasam khai hai hum aap ke hain
aap lillah ilaj-e-gham-e-dauran na karen
gham-e-dauran se kahin baDh ke sitam aap ke hain
araq-alud jabin nichi nazar kanpte lab
isi aalam mein phir ek bar ki hum aap ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.