koi taswir is dil mein sajai jaane wali hai
koī tasvīr is dil meñ sajā.ī jaane vaalī hai
kisī ke naam kī taḳhtī lagā.ī jaane vaalī hai
ḳhushī kaise mire dil kī chhupā.ī jaane vaalī hai
ki mahfil terī aamad pe sajā.ī jaane vaalī hai
mujhe us ne batāyā hai sabab ye bevafā.ī kā
vafā kī rasm duniyā se uThā.ī jaane vaalī hai
ravā hai maslahat-koshī mujhe ab dekhnā ye hai
havā se dostī kab tak nibhā.ī jaane vaalī hai
dabā rakkhī thī hākim ne ka.ī barsoñ se lekin ab
vahī āvāz-e-haq phir se uThā.ī jaane vaalī hai
na.e qārūn ne khole haiñ khāte ġhair mulkoñ meñ
jahāñ ab qaum kī daulat chhupā.ī jaane vaalī hai
ḳhudā ḳhud ko samajh baiThā banā fir'aun jaise tū
tirī fir.auniyat ab ke miTā.ī jaane vaalī hai
payām-e-dilbarī dil ke sahīfe par likhā maiñ ne
vahī tahrīr ab dil se miTā.ī jaane vaalī hai
agar tum ye samajhte ho mujhe tum bhuul jāoge
haqīqat tum ko duniyā meñ dikhā.ī jaane vaalī hai
sunā bhaa.ī ko bhaa.ī se alag honā hai lāzim ab
na.ī dīvār rishtoñ meñ uThā.ī jaane vaalī hai
dabe paañv nikal aa.ī thī kal maiñ jis kahānī se
kahānī ab vahī 'shamsa' sunā.ī jaane vaalī hai
koi taswir is dil mein sajai jaane wali hai
kisi ke nam ki taKHti lagai jaane wali hai
KHushi kaise mere dil ki chhupai jaane wali hai
ki mahfil teri aamad pe sajai jaane wali hai
mujhe us ne bataya hai sabab ye bewafai ka
wafa ki rasm duniya se uThai jaane wali hai
rawa hai maslahat-koshi mujhe ab dekhna ye hai
hawa se dosti kab tak nibhai jaane wali hai
daba rakkhi thi hakim ne kai barson se lekin ab
wahi aawaz-e-haq phir se uThai jaane wali hai
nae qarun ne khole hain khate ghair mulkon mein
jahan ab qaum ki daulat chhupai jaane wali hai
KHuda KHud ko samajh baiTha bana fir'aun jaise tu
teri firauniyat ab ke miTai jaane wali hai
payam-e-dilbari dil ke sahife par likha main ne
wahi tahrir ab dil se miTai jaane wali hai
agar tum ye samajhte ho mujhe tum bhul jaoge
haqiqat tum ko duniya mein dikhai jaane wali hai
suna bhai ko bhai se alag hona hai lazim ab
nai diwar rishton mein uThai jaane wali hai
dabe panw nikal aai thi kal main jis kahani se
kahani ab wahi 'shamsa' sunai jaane wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.