koi taswir koi naqsh banate rahiye
koī tasvīr koī naqsh banāte rahiye
dil ko duniyā meñ bahar-taur lagāte rahiye
dekhnā naag na Das le kahīñ ḳhāmoshī kā
vaqt ke saaz pe naġhma koī gaate rahiye
har ghaḌī sāmne rakhiye koī taaza manzar
har ghaḌī soch ke pardoñ ko uThāte rahiye
rāh-e-dushvār bhī ho jaatī hai āsāñ aksar
hausla rakh ke agar paañv baḌhāte rahiye
in añdheroñ se koī chāñd na ubhre jab tak
tīrgī hī pe koī naqsh banāte rahiye
laakh dushvār sahī dānish-o-hikmat ke tufail
nau-ba-nau moḌ pe taqdīr ko laate rahiye
apnī sūrat se na ho jā.ūñ kahīñ begāna
aap har pal mujhe ā.īna dikhāte rahiye
har fasāna mire afsāne kā hissa hogā
aap 'unvān koī rakh ke sunāte rahiye
ḳhud hī aa jā.egā jiine kā salīqa 'mohsin'
in havādis ko gale baḌh ke lagāte rahiye
koi taswir koi naqsh banate rahiye
dil ko duniya mein bahar-taur lagate rahiye
dekhna nag na Das le kahin KHamoshi ka
waqt ke saz pe naghma koi gate rahiye
har ghaDi samne rakhiye koi taza manzar
har ghaDi soch ke pardon ko uThate rahiye
rah-e-dushwar bhi ho jati hai aasan aksar
hausla rakh ke agar panw baDhate rahiye
in andheron se koi chand na ubhre jab tak
tirgi hi pe koi naqsh banate rahiye
lakh dushwar sahi danish-o-hikmat ke tufail
nau-ba-nau moD pe taqdir ko late rahiye
apni surat se na ho jaun kahin begana
aap har pal mujhe aaina dikhate rahiye
har fasana mere afsane ka hissa hoga
aap 'unwan koi rakh ke sunate rahiye
KHud hi aa jaega jine ka saliqa 'mohsin'
in hawadis ko gale baDh ke lagate rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.