koi to dost mile koi gham-gusar mile
koī to dost mile koī ġham-gusār mile
hai be-qarār bahut dil ise qarār mile
ye kaisī bazm-e-tarab hai jahāñ mujhe aa kar
ḳhushī to koī nahīñ ġham magar hazār mile
pilā rahā huuñ lahū dil kā maiñ charāġhoñ ko
mire charāġhoñ ko sūraj kā e'tibār mile
vo kaisā daur-e-bahārāñ thā kaisā gulshan thā
jidhar bhī Daalī nazar maiñ ne mujh ko ḳhaar mile
tumhārā phuul sā chehra sadā rahe shādāb
ḳhizāñ ho merā muqaddar tumheñ bahār mile
diye haiñ vaqt ne aañsū bhī merī āñkhoñ ko
ḳhushī ke saath mujhe ġham bhī be-shumār mile
jafā-parast sitamgar mile 'qamar' mujh ko
koī zamāne meñ ab to vafā-shi'ār milā
koi to dost mile koi gham-gusar mile
hai be-qarar bahut dil ise qarar mile
ye kaisi bazm-e-tarab hai jahan mujhe aa kar
KHushi to koi nahin gham magar hazar mile
pila raha hun lahu dil ka main charaghon ko
mere charaghon ko suraj ka e'tibar mile
wo kaisa daur-e-bahaaran tha kaisa gulshan tha
jidhar bhi Dali nazar main ne mujh ko KHar mile
tumhaara phul sa chehra sada rahe shadab
KHizan ho mera muqaddar tumhein bahaar mile
diye hain waqt ne aansu bhi meri aankhon ko
KHushi ke sath mujhe gham bhi be-shumar mile
jafa-parast sitamgar mile 'qamar' mujh ko
koi zamane mein ab to wafa-shi'ar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.