koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta
koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta
Imran-ul-haq Chauhan
MORE BYImran-ul-haq Chauhan
koī to hai jo aahoñ meñ asar aane nahīñ detā
mire naḳhl-e-tamannā pe samar aane nahīñ detā
liye phirtā hai mujh ko qarya qarya kū-ba-kū har dam
magar saare safar meñ merā ghar aane nahīñ detā
mire ḳhuuñ se jalātā hai charāġh-e-shahr-e-ahl-e-zar
mire hī ghar ke āñgan meñ sahar aane nahīñ detā
khilātā hai vo dil meñ nit-na.e gul ārzūoñ ke
magar hoñToñ talak is kī ḳhabar aane nahīñ detā
jidhar bhī dekhtā huuñ maiñ nazar aatā hai bas vo hī
mujhe apne alāva kuchh nazar aane nahīñ detā
khulā rakhtā hai mere sāmne aflāk kā manzar
magar kuchh soch kar vo mere par aane nahīñ detā
ḳhudāyā vaqt ke us paar kyā asrār haiñ pinhāñ
musāfir ko kabhī to lauT kar aane nahīñ detā
maiñ jaanā chāhtā huuñ par mirī majbūriyāñ 'imrran'
vo aanā chāhtā hai koī Dar aane nahīñ detā
koi to hai jo aahon mein asar aane nahin deta
mere naKHl-e-tamanna pe samar aane nahin deta
liye phirta hai mujh ko qarya qarya ku-ba-ku har dam
magar sare safar mein mera ghar aane nahin deta
mere KHun se jalata hai charagh-e-shahr-e-ahl-e-zar
mere hi ghar ke aangan mein sahar aane nahin deta
khilata hai wo dil mein nit-nae gul aarzuon ke
magar honTon talak is ki KHabar aane nahin deta
jidhar bhi dekhta hun main nazar aata hai bas wo hi
mujhe apne alawa kuchh nazar aane nahin deta
khula rakhta hai mere samne aflak ka manzar
magar kuchh soch kar wo mere par aane nahin deta
KHudaya waqt ke us par kya asrar hain pinhan
musafir ko kabhi to lauT kar aane nahin deta
main jaana chahta hun par meri majburiyan 'imrran'
wo aana chahta hai koi Dar aane nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.