koi to hai jo kahin mujhko yaad karta hai
koī to hai jo kahīñ mujh ko yaad kartā hai
jo ye nahīñ hai to kyoñ dil mirā dhaḌaktā hai
kisī bhī aañkh ne dekhā nahīñ jise ab tak
usī charāġh se sab kā charāġh jaltā hai
bahut dinoñ meñ vo bām-e-jamāl par aaya
bahut dinoñ meñ khulā chāñd kyoñ chamaktā hai
tamām raat ta.āqub kisī kā karte hue
mirā ḳhayāl bahut duur jā nikaltā hai
jise kabhī mire bachpan ne khel Daalā thā
vahī parinda har ik shāḳh par chahaktā hai
palaT ke dekhūñ to aatā nahīñ nazar koī
na jaane kaun mire saath saath chaltā hai
har ek shaam nazāre na.e numūd kareñ
har ek shaam falak pairahan badaltā hai
maiñ apne zehn se aksar savāl kartā huuñ
ye kaun ziist ke ḳhāke meñ rang bhartā hai
agarche 'nūr' abhī dīvār-e-jāñ meñ ḳham bhī nahīñ
ziyāñ ke ḳhauf se mujh meñ koī sisaktā hai
koi to hai jo kahin mujh ko yaad karta hai
jo ye nahin hai to kyon dil mera dhaDakta hai
kisi bhi aankh ne dekha nahin jise ab tak
usi charagh se sab ka charagh jalta hai
bahut dinon mein wo baam-e-jamal par aaya
bahut dinon mein khula chand kyon chamakta hai
tamam raat taaqub kisi ka karte hue
mera KHayal bahut dur ja nikalta hai
jise kabhi mere bachpan ne khel Dala tha
wahi parinda har ek shaKH par chahakta hai
palaT ke dekhun to aata nahin nazar koi
na jaane kaun mere sath sath chalta hai
har ek sham nazare nae numud karen
har ek sham falak pairahan badalta hai
main apne zehn se aksar sawal karta hun
ye kaun zist ke KHake mein rang bharta hai
agarche 'nur' abhi diwar-e-jaan mein KHam bhi nahin
ziyan ke KHauf se mujh mein koi sisakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.