koi to kahe baat qafas mein gul-e-tar ki
koi to kahe baat qafas mein gul-e-tar ki
Maulwi Syed Mumtaz Ali
MORE BYMaulwi Syed Mumtaz Ali
koī to kahe baat qafas meñ gul-e-tar kī
ham ne to gulistāñ meñ bhī kāñToñ pe basar kī
āñkhoñ meñ alaav se dahakte haiñ shab-o-roz
dil khol ke ro.e haiñ na bharpūr nazar kī
gulchīñ bhī tahī-dast hai sayyād bhī hairāñ
kyā dhuum bahāroñ meñ machī sho.abda-gar kī
dāman hī nahīñ aaj sarāpā hai darīda
sau zaḳhm uThā.e haiñ jo ik baar nazar kī
ye zaḳhm huā misr ke bāzār kā yūsuf
qīmat nā paḌegī yahāñ kuchh arz-e-hunar kī
is peḌ kā ai sang-zano phal to uThāo
ab bhī pas-e-dīvār hai raunaq mire ghar kī
tum raat kī ġhhambīr siyāhī meñ ghule ho
kab phuul khilā.e kahīñ tā.īd-e-sahar kī
raunaq bhī ga.ī dil kā bharam bhī gayā 'sarmad'
ab to yahāñ Dastī huī vahshat hai khañDar kī
koi to kahe baat qafas mein gul-e-tar ki
hum ne to gulistan mein bhi kanTon pe basar ki
aankhon mein alaw se dahakte hain shab-o-roz
dil khol ke roe hain na bharpur nazar ki
gulchin bhi tahi-dast hai sayyaad bhi hairan
kya dhum bahaaron mein machi shoabda-gar ki
daman hi nahin aaj sarapa hai darida
sau zaKHm uThae hain jo ek bar nazar ki
ye zaKHm hua misr ke bazar ka yusuf
qimat na paDegi yahan kuchh arz-e-hunar ki
is peD ka ai sang-zano phal to uThao
ab bhi pas-e-diwar hai raunaq mere ghar ki
tum raat ki ghambir siyahi mein ghule ho
kab phul khilae kahin taid-e-sahar ki
raunaq bhi gai dil ka bharam bhi gaya 'sarmad'
ab to yahan Dasti hui wahshat hai khanDar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.