koi ummid nahin baqi magar dekhte hain
koī ummīd nahīñ baaqī magar dekhte haiñ
bistar-e-marg pe haiñ jānib-e-dar dekhte haiñ
ek mahtāb sar-e-bām-e-falak hai raushan
aur hasrat se use ḳhāk-basar dekhte haiñ
ab mirī zaat kī le kar bhī talāshī kyā hai
maiñ udhar huuñ hī nahīñ aap jidhar dekhte haiñ
itnī shiddat se tirī kam-nazarī kā dukh hai
jitnī hairat se mujhe ahl-e-nazar dekhte haiñ
jitne raste haiñ mirī vāpsī par hañste haiñ
aur hiqārat se kināroñ ke shajar dekhte haiñ
aap bhī gher ke laa.e hue lagte haiñ yahāñ
aap bhī kis se muḳhātib haiñ kidhar dekhte haiñ
koi ummid nahin baqi magar dekhte hain
bistar-e-marg pe hain jaanib-e-dar dekhte hain
ek mahtab sar-e-baam-e-falak hai raushan
aur hasrat se use KHak-basar dekhte hain
ab meri zat ki le kar bhi talashi kya hai
main udhar hun hi nahin aap jidhar dekhte hain
itni shiddat se teri kam-nazari ka dukh hai
jitni hairat se mujhe ahl-e-nazar dekhte hain
jitne raste hain meri wapsi par hanste hain
aur hiqarat se kinaron ke shajar dekhte hain
aap bhi gher ke lae hue lagte hain yahan
aap bhi kis se muKHatib hain kidhar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.