Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ummid to is dil ki bar aane dije

Ahmad Hasan Fida

koi ummid to is dil ki bar aane dije

Ahmad Hasan Fida

MORE BYAhmad Hasan Fida

    koī ummīd to is dil bar aane diije

    ranj baat na ab kījiye jaane diije

    un ke chup rahne se go jaan ga.ī kyā ġham hai

    uThūñgā maiñ abhī lab to hilāne diije

    ham bhī kahte haiñ ki ḳhat aa.egā tab samjheñge

    ġhair gar un ko paḌhāye to paḌhāne diije

    rafta-rafta ye pahuñch jā.egā us ke dar tak

    kāsa-e-sar ko mire Thokareñ khāne diije

    ġhair rang kisī tarah na jamne deñge

    ham ko is bazm meñ naqsha to jamāne diije

    us sitamgar jafāoñ maza aatā hai

    āsmāñ ham ko satā.e to satāne diije

    dekh kar abr-e-bahārī pe guloñ chashmak

    chashm-e-gul-gūñ se hameñ ashk bahāne diije

    shab vo bole ruḳh-e-raushan se haTā kar zulfeñ

    lo 'fidā' sub.h huī ab hameñ jaane diije

    koi ummid to is dil ki bar aane dije

    ranj ki baat na ab kijiye jaane dije

    un ke chup rahne se go jaan gai kya gham hai

    ji uThunga main abhi lab to hilane dije

    hum bhi kahte hain ki KHat aaega tab samjhenge

    ghair gar un ko paDhaye to paDhane dije

    rafta-rafta ye pahunch jaega us ke dar tak

    kasa-e-sar ko mere Thokaren khane dije

    ghair ka rang kisi tarah na jamne denge

    hum ko is bazm mein naqsha to jamane dije

    us sitamgar ki jafaon ka maza aata hai

    aasman hum ko satae to satane dije

    dekh kar abr-e-bahaari pe gulon ki chashmak

    chashm-e-gul-gun se hamein ashk bahane dije

    shab wo bole ruKH-e-raushan se haTa kar zulfen

    lo 'fida' subh hui ab hamein jaane dije

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now