koi wahshat hai ki dil shad nahin rahta hai
koī vahshat hai ki dil shaad nahīñ rahtā hai
ghar zarā der bhī ābād nahīñ rahtā hai
shahr meñ 'āshiq-e-mehrāb ka.ī rahte haiñ
koī bhī hāmī-e-buniyād nahīñ rahtā hai
jis se sīkhā thā akele bhī basar hotī hai
ab vahī dasht mujhe yaad nahīñ rahtā hai
in chaTānoñ meñ kudāloñ kā koī shor nahīñ
in chaTānoñ meñ to farhād nahīñ rahtā hai
haañ yahī markaz-e-tajdīd thī bastī aur ab
yaañ koī sāhib-e-ījād nahīñ rahtā hai
jab bhī zindān kī roTī meñ maza aa jaa.e
phir to ye zehn bhī āzād nahīñ rahtā hai
koi wahshat hai ki dil shad nahin rahta hai
ghar zara der bhi aabaad nahin rahta hai
shahr mein 'ashiq-e-mehrab kai rahte hain
koi bhi hami-e-buniyaad nahin rahta hai
jis se sikha tha akele bhi basar hoti hai
ab wahi dasht mujhe yaad nahin rahta hai
in chaTanon mein kudalon ka koi shor nahin
in chaTanon mein to farhad nahin rahta hai
han yahi markaz-e-tajdid thi basti aur ab
yan koi sahib-e-ijad nahin rahta hai
jab bhi zindan ki roTi mein maza aa jae
phir to ye zehn bhi aazad nahin rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.