koi zaKHm khula to sahne lage koi Tis uThi lahrane lage
koī zaḳhm khulā to sahne lage koī Tiis uThī lahrāne lage
ye kis kī duā kā faiz huā ham kyā kyā kaam dikhāne lage
dil-e-zār usī bastī meñ chal tire naam kī sarsoñ phūlī hai
chāñdī kī saḌak par chalte hue ab paañv tire kumhlāne lage
koī Duub gayā to kyā Duubā koī paar utrā to kyā utrā
par kyā kahiye dil dariyā kī jo paañv dhare itrāne lage
abhī shaam zarā sī mahkī hai par kyā kahiye kyā jaldī hai
abhī raat paḌāv bhī aage hai aur ḳhvāb bulāve aane lage
tum kaun se 'hāfiz' o 'ġhālib' ho tum 'mīr' 'kabīr' kahāñ ke ho
tumheñ pahlā sabaq bhī yaad nahīñ aur fankārī dikhlāne lage
koi zaKHm khula to sahne lage koi Tis uThi lahrane lage
ye kis ki dua ka faiz hua hum kya kya kaam dikhane lage
dil-e-zar usi basti mein chal tere nam ki sarson phuli hai
chandi ki saDak par chalte hue ab panw tere kumhlane lage
koi Dub gaya to kya Duba koi par utra to kya utra
par kya kahiye dil dariya ki jo panw dhare itrane lage
abhi sham zara si mahki hai par kya kahiye kya jaldi hai
abhi raat paDaw bhi aage hai aur KHwab bulawe aane lage
tum kaun se 'hafiz' o 'ghaalib' ho tum 'mir' 'kabir' kahan ke ho
tumhein pahla sabaq bhi yaad nahin aur fankari dikhlane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.