kore kaghaz pe mera naqsh utare koi
kore kāġhaz pe mirā naqsh utāre koī
ek mub.ham sā maiñ ḳhāka huuñ ubhāre koī
nāḳhudā bhī to mire kaam yahāñ aa na sakā
aur paar utrā hai lahroñ ke sahāre koī
ek muddat se ḳhamoshī hī ḳhamoshī hai vahāñ
chup ke sahrā meñ mirā naam pukāre koī
is jahāñ meñ to sabhī dast-e-nigar haiñ 'shāhid'
sāmne kis ke yahāñ haath pasāre koī
kore kaghaz pe mera naqsh utare koi
ek mubham sa main KHaka hun ubhaare koi
naKHuda bhi to mere kaam yahan aa na saka
aur par utra hai lahron ke sahaare koi
ek muddat se KHamoshi hi KHamoshi hai wahan
chup ke sahra mein mera nam pukare koi
is jahan mein to sabhi dast-e-nigar hain 'shahid'
samne kis ke yahan hath pasare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.