koshish-e-zabt nahin ai dil-e-nashad nahin
koshish-e-zabt nahīñ ai dil-e-nāshād nahīñ
iltijā apnī hadoñ meñ ho to fariyād nahīñ
qissa-e-dard kisī aur kī rūdād nahīñ
ek merī hī ġhazal hai jo mujhe yaad nahīñ
choT khā kar bhī laboñ par mire fariyād nahīñ
aur kyā hai jo ye taufīq-e-ḳhudā-dād nahīñ
tum kabhī pursish-e-hālāt kī zahmat to karo
kaun sī baat hai aisī jo mujhe yaad nahīñ
kis qadar tuul thī mī.ād-e-asīrī tauba
ab bhī ye vahm sā hotā hai ki āzād nahīñ
tū ne kis ke liye kāñToñ ko sajāyā tū jaan
maiñ ne kyoñ phuul chune the ye mujhe yaad nahīñ
yuuñ to har rang meñ hai tere karam kī tārīḳh
qābil-e-zikr koī baat mujhe yaad nahīñ
apne hī saa.e meñ guzrā huuñ har ik daur se maiñ
tum mire saath kahāñ tak the mujhe yaad nahīñ
rāt-din sarf-e-ibādat to nahīñ hai 'anjum'
lekin un meñ bhī nahīñ jin ko ḳhudā yaad nahīñ
koshish-e-zabt nahin ai dil-e-nashad nahin
iltija apni hadon mein ho to fariyaad nahin
qissa-e-dard kisi aur ki rudad nahin
ek meri hi ghazal hai jo mujhe yaad nahin
choT kha kar bhi labon par mere fariyaad nahin
aur kya hai jo ye taufiq-e-KHuda-dad nahin
tum kabhi pursish-e-haalat ki zahmat to karo
kaun si baat hai aisi jo mujhe yaad nahin
kis qadar tul thi miad-e-asiri tauba
ab bhi ye wahm sa hota hai ki aazad nahin
tu ne kis ke liye kanTon ko sajaya tu jaan
main ne kyon phul chune the ye mujhe yaad nahin
yun to har rang mein hai tere karam ki tariKH
qabil-e-zikr koi baat mujhe yaad nahin
apne hi sae mein guzra hun har ek daur se main
tum mere sath kahan tak the mujhe yaad nahin
raat-din sarf-e-ibaadat to nahin hai 'anjum'
lekin un mein bhi nahin jin ko KHuda yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.