koshish hai sham hi se ki mahfil sajaun main
koshish hai shaam hī se ki mahfil sajā.ūñ maiñ
ḳhvāboñ ko un kī niiñd se kaise jagā.ūñ maiñ
tārīf merī kar ke bhī thakte na the jo log
ab bhī vahī huuñ un ko magar kyā batā.ūñ maiñ
bād-e-sabā ke soz se dil bhī na bach sakā
qisse bahār ke haiñ tujhe kyā sunā.ūñ maiñ
us par hī e'tibār karūñ aañkh muuñd kar
yā us se roz roz ke dhoke hī khā.ūñ maiñ
phīkī rahī hai merī chamak us kī bazm meñ
us ke qarīb aur diye kyā jalā.ūñ maiñ
'bebāk' dāstān-e-havādis hai jab hayāt
kis ko karūñ maiñ yaad kise bhuul jā.ūñ maiñ
koshish hai sham hi se ki mahfil sajaun main
KHwabon ko un ki nind se kaise jagaun main
tarif meri kar ke bhi thakte na the jo log
ab bhi wahi hun un ko magar kya bataun main
baad-e-saba ke soz se dil bhi na bach saka
qisse bahaar ke hain tujhe kya sunaun main
us par hi e'tibar karun aankh mund kar
ya us se roz roz ke dhoke hi khaun main
phiki rahi hai meri chamak us ki bazm mein
us ke qarib aur diye kya jalaun main
'bebak' dastan-e-hawadis hai jab hayat
kis ko karun main yaad kise bhul jaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.