koshish to ki hazar chalun sath waqt ke
koshish to kī hazār chalūñ saath vaqt ke
par kyā kareñ mile hī nahīñ haath vaqt ke
sab kuchh badal gayā hai mirī zindagī magar
badle nahīñ kabhī kahīñ hālāt vaqt ke
jo tere jī meñ aa.e vahī kaam kar sake
itne hasīn to nahīñ jazbāt vaqt ke
ham ko bhī kuchh nazar nahīñ aatā hai dosto
tum ko bhī dukh nahīñ rahe hālāt vaqt ke
ai 'rashk' tū batā ki tirī zindagī meñ kaun
kartā rahā hai hal ye mu'ammāt vaqt ke
koshish to ki hazar chalun sath waqt ke
par kya karen mile hi nahin hath waqt ke
sab kuchh badal gaya hai meri zindagi magar
badle nahin kabhi kahin haalat waqt ke
jo tere ji mein aae wahi kaam kar sake
itne hasin to nahin jazbaat waqt ke
hum ko bhi kuchh nazar nahin aata hai dosto
tum ko bhi dukh nahin rahe haalat waqt ke
ai 'rashk' tu bata ki teri zindagi mein kaun
karta raha hai hal ye mu'ammat waqt ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.