koshishen be-sud hain bekar har tadbir hai
koshisheñ be-sūd haiñ bekār har tadbīr hai
husn kī sarkār meñ har aah be-tāsīr hai
vo nazar kuchh aur shai hai tiir phir bhī tiir hai
asl hai phir asl hī tasvīr phir tasvīr hai
ai junūñ ye to batā kambaḳht tere paañv meñ
dhajjiyāñ dāman kī haiñ yā halqa-e-zanjīr hai
sū-e-zan thā jis ke muñh par nutq kā itlāq bhī
guftugū se us kī hairāñ ḳhud lab-e-taqrīr hai
har tamanna hai mirī ab be-niyāz-e-mudda.ā
aaj har naala mirā mustaġhnī-e-tāsīr hai
ibtidā hī ibtidā hai intihā is kī nahīñ
dar-haqīqat ye mohabbat ḳhvāb-e-be-ta.abīr hai
chal rahā hai un kī nazroñ par mirā har iḳhtiyār
sar se pā tak zindagī bāzīcha-e-taqdīr hai
rok letīñ ham ko kyā dīvār kī sangīniyāñ
kuchh adab zindāñ kā hai kuchh azmat-e-zanjīr hai
jazb kar liiñ ishq ne kyā husn kī rangīniyāñ
kal jahāñ vo jalva-gar the ab mirī tasvīr hai
ab qadam baḌhne lagā hadd-e-ta.ayyun se mirā
zarra-zarra aaj tere husn kī tanvīr hai
rahm kar hālat pe apnī ai nigāh-e-iltifāt
aaj merī har nazar ik husn kī tasvīr hai
ye hai takmīl-e-mohabbat yā sitam kī intihā
aaj har naala mirā ek paikar-e-tāsīr hai
sar se pā tak ārzū-e-dost ban kar ai 'munīr'
be-niyāz-e-mudda.ā ban jā yahī iksīr hai
koshishen be-sud hain bekar har tadbir hai
husn ki sarkar mein har aah be-tasir hai
wo nazar kuchh aur shai hai tir phir bhi tir hai
asl hai phir asl hi taswir phir taswir hai
ai junun ye to bata kambaKHt tere panw mein
dhajjiyan daman ki hain ya halqa-e-zanjir hai
su-e-zan tha jis ke munh par nutq ka itlaq bhi
guftugu se us ki hairan KHud lab-e-taqrir hai
har tamanna hai meri ab be-niyaz-e-muddaa
aaj har nala mera mustaghni-e-tasir hai
ibtida hi ibtida hai intiha is ki nahin
dar-haqiqat ye mohabbat KHwab-e-be-tabir hai
chal raha hai un ki nazron par mera har iKHtiyar
sar se pa tak zindagi bazicha-e-taqdir hai
rok letin hum ko kya diwar ki sanginiyan
kuchh adab zindan ka hai kuchh azmat-e-zanjir hai
jazb kar lin ishq ne kya husn ki ranginiyan
kal jahan wo jalwa-gar the ab meri taswir hai
ab qadam baDhne laga hadd-e-tayyun se mera
zarra-zarra aaj tere husn ki tanwir hai
rahm kar haalat pe apni ai nigah-e-iltifat
aaj meri har nazar ek husn ki taswir hai
ye hai takmil-e-mohabbat ya sitam ki intiha
aaj har nala mera ek paikar-e-tasir hai
sar se pa tak aarzu-e-dost ban kar ai 'munir'
be-niyaz-e-muddaa ban ja yahi iksir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.