krishn ko chahta hun aashiq-e-subhan hun main
krishn ko chāhtā huuñ āshiq-e-sub.hāñ huuñ maiñ
sab mujhe kahte haiñ hindū vo musalmāñ huuñ maiñ
raam bhī krishn bhī ahmad bhī gurūnānak bhī
dil se in chāroñ buzurgoñ kā sanā-ḳhvāñ huuñ maiñ
lab pe har-har hai mire dil meñ hai allāh allāh
ved paḌh letā huuñ aur hāfiz-e-qur.āñ huuñ maiñ
merā maz.hab hai yahī sab ko samajhnā apnā
sab se miltā huā rahtā huuñ vo insāñ huuñ maiñ
chaar din jiinā hai mil-jul ke basar ho 'asġhar'
ab to is jag meñ koī roz kā mehmāñ huuñ maiñ
krishn ko chahta hun aashiq-e-subhan hun main
sab mujhe kahte hain hindu wo musalman hun main
ram bhi krishn bhi ahmad bhi gurunanak bhi
dil se in chaaron buzurgon ka sana-KHwan hun main
lab pe har-har hai mere dil mein hai allah allah
wed paDh leta hun aur hafiz-e-quran hun main
mera mazhab hai yahi sab ko samajhna apna
sab se milta hua rahta hun wo insan hun main
chaar din jina hai mil-jul ke basar ho 'asghar'
ab to is jag mein koi roz ka mehman hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.