kuan bhi khod liya phir bhi dil pareshan hai
kuan bhi khod liya phir bhi dil pareshan hai
Imtiyaz Danish Nadwi
MORE BYImtiyaz Danish Nadwi
kuaañ bhī khod liyā phir bhī dil pareshāñ hai
ab is ilāqe se bādal bahut gurezāñ hai
badan-darīda zamīñ duur tak hai phailī huī
harā sā ek shajar ḳhud pe kitnā nāzāñ hai
kahīñ se koī bhī ḳhush-kun ḳhabar nahīñ aa.ī
burā hai vaqt abhī har ḳhushī gurezāñ hai
bayān-e-dard-o-alam ab koī kare kis se
har ek shaḳhs kisī mas.ale meñ ġhaltāñ hai
dikhā ke aadmī aur jānvar kī tasvīreñ
ye pūchhā bachchī ne donoñ meñ kaun haivāñ hai
safedī us pe zabāñ se na pher pā.egā
siyāhī dil kī tirī aañkh se numāyāñ hai
jahāñ meñ phaile añdheroñ kā hai ye Dar kaisā
diloñ meñ sham' jab īmān kī farozāñ hai
koī ḳhushī bhī kahāñ lagtī hai ḳhushī kī tarah
ba-roz-e-īd bhī ab kaun kitnā nādāñ hai
ho ahl-e-hosh yā dasht-e-junūñ kā bāshinda
kisī kā aaj salāmat nahīñ garebāñ hai
kuan bhi khod liya phir bhi dil pareshan hai
ab is ilaqe se baadal bahut gurezan hai
badan-darida zamin dur tak hai phaili hui
hara sa ek shajar KHud pe kitna nazan hai
kahin se koi bhi KHush-kun KHabar nahin aai
bura hai waqt abhi har KHushi gurezan hai
bayan-e-dard-o-alam ab koi kare kis se
har ek shaKHs kisi masale mein ghaltan hai
dikha ke aadmi aur jaanwar ki taswiren
ye puchha bachchi ne donon mein kaun haiwan hai
safedi us pe zaban se na pher paega
siyahi dil ki teri aankh se numayan hai
jahan mein phaile andheron ka hai ye Dar kaisa
dilon mein sham' jab iman ki farozan hai
koi KHushi bhi kahan lagti hai KHushi ki tarah
ba-roz-e-id bhi ab kaun kitna nadan hai
ho ahl-e-hosh ya dasht-e-junun ka bashinda
kisi ka aaj salamat nahin gareban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.