kuchh ab ke baras aur hawaon ka chalan hai
kuchh ab ke baras aur hawaon ka chalan hai
Mahendra Partap Chand
MORE BYMahendra Partap Chand
kuchh ab ke baras aur havāoñ kā chalan hai
bojhal hai fazā vaqt ke māthe pe shikan hai
detī haiñ dhuāñ ab bhī sulagtī huī shāmeñ
māhaul pe chhā.ī huī vaisī hī ghuTan hai
ubhrī hai phir ik Dūbte manzar kī koī yaad
sañgīt kī lai hai ki ye sūraj kī kiran hai
nikhrā hai tirā ruup mire sheroñ meñ Dhal kar
sañvrā huā merā bhī har ik naqsh-e-suḳhan hai
mahkī huī sāñsoñ meñ basī hai koī mūrat
ḳhushbu-e-badan hai ki ye ḳhushbū kā badan hai
siine se lagā lo ise palkoñ pe sajā lo
ai 'chāñd' ye biite hue lamhoñ kī chubhan hai
kuchh ab ke baras aur hawaon ka chalan hai
bojhal hai faza waqt ke mathe pe shikan hai
deti hain dhuan ab bhi sulagti hui shamen
mahaul pe chhai hui waisi hi ghuTan hai
ubhri hai phir ek Dubte manzar ki koi yaad
sangit ki lai hai ki ye suraj ki kiran hai
nikhra hai tera rup mere sheron mein Dhal kar
sanwra hua mera bhi har ek naqsh-e-suKHan hai
mahki hui sanson mein basi hai koi murat
KHushbu-e-badan hai ki ye KHushbu ka badan hai
sine se laga lo ise palkon pe saja lo
ai 'chand' ye bite hue lamhon ki chubhan hai
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 115)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.