kuchh ab ki bar to aisa biphar gaya pani
kuchh ab kī baar to aisā biphar gayā paanī
bahā ke le gayā har shai jidhar gayā paanī
ye alamiya bhī ajab hai ki dasht se dariyā
palaT ke pūchh rahā hai kidhar gayā paanī
kisī bhī nal meñ nahīñ koī ek buuñd magar
har ik makān ke kamroñ meñ bhar gayā paanī
dhanak ke rang ubhar aa.e qatre qatre meñ
tumhāre jism ko chhū kar nikhar gayā paanī
hai aam shahr meñ dastūr be-hijābī kā
har ek shaḳhs kī āñkhoñ kā mar gayā paanī
maiñ tishna-baḳht use haath bhī lagā na sakā
mire qarīb se ho ke guzar gayā paanī
kisī badan meñ hunar ziist kā nahīñ 'āsim'
huā bhī kyā jo saroñ se utar gayā paanī
kuchh ab ki bar to aisa biphar gaya pani
baha ke le gaya har shai jidhar gaya pani
ye alamiya bhi ajab hai ki dasht se dariya
palaT ke puchh raha hai kidhar gaya pani
kisi bhi nal mein nahin koi ek bund magar
har ek makan ke kamron mein bhar gaya pani
dhanak ke rang ubhar aae qatre qatre mein
tumhaare jism ko chhu kar nikhar gaya pani
hai aam shahr mein dastur be-hijabi ka
har ek shaKHs ki aankhon ka mar gaya pani
main tishna-baKHt use hath bhi laga na saka
mere qarib se ho ke guzar gaya pani
kisi badan mein hunar zist ka nahin 'asim'
hua bhi kya jo saron se utar gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.